An azad nazam I noted in my diary long ago...
Suna hoga bohat tum ne ….KahiN aankhoN ki rim jhim kaKahin palkoN ki shabnam ka…Parha hoga bohat tumne ….KahiN lehjay ki barish kaKahiN sagar ke aansoo ka…Magar tum ne kabhi humdam …Kahin daikhay? kahin parkhay?Kisi tehreer ke aansoo??…!!Mujhe teri judaai ne …Yehi mairaaj bakhshi hai…Ke main jo lafz likhta hooN …Wo saray lafz rotay hainKe main jo harf bunta hooN …Wo saray bain kartay hainMere sang is judaai main …Mere alfaz martay hainSabhi tareef kartay hain …Meri tehreer ki lekin..Kabhi koi nahin sunta …Mere alfaz ki siski…Falak bhi jo hila daalay..Mere lafzoN main hain shamil …Usi taseer ke aansoo…Kabhi daikho mere humdam…Meri tehreer ke aansoo..!!
No comments:
Post a Comment